phir koi naya zakhm naya dard ata ho us dil ki khabar le jo tujhe bhul chala ho ab dil mein sar-e-sham charaghan nahin hota shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho kab ishq kiya kis se kiya jhut hai yaro bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho darwaza khula hai ki koi laut na jae aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho shayad ki tere qurb se aa jae mayassar wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se andaz-o-ada ka koi uslub naya ho