chain ho ya bechaini ho pahle dil ghabraega jate jate jaegi aate aate aaega qasid aane jaane mein thak thak kar ghabraega jaega phir aaega aaega phir jaega dhundne wali nazron nazron dekhenge pahlu ki taraf un ki is dil-jui par mera dil itraega dil mein ummiden lakhon thin kuchh niklin hain kuchh baqi hain khair kabhi phir aaoge phir kabhi dekha jaega dair-o-haram ke malik se hum kuchh mangen bhi to sahi hai wo bada dene wala dega ya dilwaega dil ke khud aazar-o-alam dil ki qadr badhaenge hoga ye iksir magar khak mein jab mil jaega naseh aane wala hai do hi baaten honi hain ya use hum samjhaenge ya wo hamein samjhaega shikwa-e-gham ki mahshar mein hum ko to ummid nahin samne wo aa jaenge hosh kise rah jaega dil dene wala gham se chhut jaega dil de kar dil lene wala dil mein dil le kar pachhtaega 'nuh' ke rone par hansna bedardon ka khwab nahin bahr-e-mohabbat mein is se aur bhi tufan aaega