mili jo dil ko khushi to khushi se ghabrae hum ajnabi ki tarah zindagi se ghabrae wo aur kuchh hai magar kaenat-e-hosh nahin ek aadmi hi agar aadmi se ghabrae kabhi kabhi to teri dosti mein hum ai dost khud apne aalam-e-awargi se ghabrae jala liye hain usi waqt aansuon ke charagh shab-e-firaq mein jab tirgi se ghabrae wahi to bazm se saqi ki uth gae mahrum jo mai-kade mein kabhi tishnagi se ghabrae fareb-e-gesu-e-pur-kham ho ya ho sham-e-hayat wo shams kya ki kisi tirgi se ghabrae