chain milta nahin ghar mein bhi qayamat kya hai uth ke sau bar main baitha hun ye wahshat kya hai us se be-mehri-o-furqat ki shikayat kya hai jis ko ye bhi nahin malum mohabbat kya hai pi ke ek jam jo behosh bana hai zi-hosh mai ki tasir hai saqi ki karamat kya hai wajh-e-azar hai khud jin ke liye tul-e-hayat un ko andesha-e-sham-o-shab-e-furqat kya hai dijiye hukm to bimar ki mushkil hal ho kaam kar legi ajal aap ko zahmat kya hai haal isyan ka gunahgar bayan kar denge un se puchhegi jo aa kar teri rahmat kya hai maut se kahte hain wo ja ke kabhi dekh to aa mere bimar-e-shab-e-hijr ki haalat kya hai aap kya jaanen guzarti hai jo is par shab-o-roz aap kya jaanen ki dil ki mere haalat kya hai gird-e-mai-khana lagata hai hazaron chakkar saf kah hum se ki waiz teri niyyat kya hai tare gin gin ke shab-e-hijr guzar jati hai nind dam bhar nahin aati ye musibat kya hai shumi-e-bakht ki 'masud' ho kya fikr mujhe shukr har haal mein lazim hai shikayat kya he