ham-watan tha aashna tha raat-din milta tha wo us mein kuchh thi aisi baaten ajnabi lagta tha wo ab tabassum-rez aankhon mein nami dil dagh dagh baaton baaton mein kisi din gar kabhi khulta tha wo mo'tarif hain mahfilen wo mahfilon ki jaan tha log kya jaanen kahan kis haal mein rahta tha wo aaj us ki khairiyat bhi puchhta koi nahin sau taraf se hath uthte rah jab chalta tha wo shakhsiyat mein thi 'niyaz' us ki ajab si ek kashish munh se us ke phul jhadte baat jab karta tha wo