chakhi na jis ne kabhi lazzat-e-sinan-e-nigah maza de phir use kya tegh-e-khun-chakan-e-nigah jis anjuman mein ki padta na tha guman-e-nigah pada hai tut dam-e-raqs aasman-e-nigah bala se us se hi roz-e-siyah ka haal kahun ki mil-e-surma hai is ke mizaj dan-e-nigah dhanak se surme ki chilla hai ta ba-gosha-e-chashm koi hai said jo phir zah hui kaman-e-nigah bari hai wajib o mumkin ki qaid se wo husn na darmiyana-e-mardum na darmyan-e-nigah hua tha masti ki majlis mein shab guzar apna kiya nazara-e-mahwiyyat-e-jahan-e-nigah wo aasman ki taraf dekhe gar utha kar aankh gire zamin pe isa bhi kha sinan-e-nigah na tab nur-e-tajalli ki la saka musa farogh-e-husn hua bais-e-ziyan-e-nigah