chal diya naz zamane ke uthane wala sare ghar le gaya ghar chhod ke jaane wala aankh pur-nam hai yahi soch ke ahl-e-dil ki laut kar ab nahin aaega hansane wala baat to karte hain sab log wafa ki lekin kis ne dekha hai kahan par hai nibhane wala ab pareshan sa phirta hai zamane bhar mein zakhm-e-dil par mere tezab lagane wala shukr-e-rab hai meri phulon pe guzari us ne aag pe soya hai barud bichhane wala hum ne dekha hai shab-o-roz zamane mein 'sabin' surkh-ru hota hai sajdon ko sajaane wala