abhi is taraf na nigah kar main ghazal ki palken sanwar lun mera lafz lafz ho aaina tujhe aaine mein utar lun main tamam din ka thaka hua tu tamam shab ka jaga hua zara thahar ja isi mod par tere sath sham guzar lun agar aasman ki numaishon mein mujhe bhi izn-e-qayam ho to main motiyon ki dukan se teri baaliyan tere haar lun kahin aur bant de shohraten kahin aur bakhsh de izzaten mere pas hai mera aaina main kabhi na gard-o-ghubar lun kai ajnabi teri rah mein mere pas se yun guzar gae jinhen dekh kar ye tadap hui tera nam le ke pukar lun