chal kar na zulf-e-yar ko tu ai saba bigad andher hoga us se agar ho gaya bigad aashiq ko har tarah hai musibat ka samna achchha tera milap na achchha tera bigad main kyun karun kisi ko makin-e-makan-e-dil main kyun kahun kisi se ki tu ghar mera bigad mauquf ek do pe nahin yar ka itab is se juda bigad hai us se juda bigad hoti thi aashiqon mein bade lutf se basar baithe-bithae aap ne kyun kar liya bigad aise mariz-e-ishq ka kis se ilaj ho paida kare mizaj mein jis ke dawa bigad nazuk-mizaj yar ka bartao kya kahun do din raha milap to barson raha bigad achchhon mein aib bhi ho to dakhil hunar mein hai rakhta hai sau banaw teri zulf ka bigad achchha hua 'jalil' se tum saf ho gae aghyar ne to dal diya tha bura bigad