ye narm hath mare hath mein thama dije thaka hua hun zara dil ko hausla dije bas ab mile hain to kije na aas-pas ka khauf jo sang-e-rah mile panw se hata dije ye aur dur hai aur sab yahan mujhi se hain wo kohkan ki hikayat ab bhula dije nahin hai aap ko fursat agar tawajjoh ki to main bhi lautta hun ghar ko aagya dije wafa hai jurm to iqrar-e-jurm hai mujh ko ye main hun ye mera dil lijiye saza dije mera wajud bhi hai aap ki jabin ka dagh ise bhi harf-e-ghalat ki tarah mita dije kal aap ne jo chhudaya to chhut sakega na hat jo uljhanen hain mujhe aaj hi bata dije ye khel khela hai jab pyar ka to phir ai dil ab apne aap ko bhi danw par laga dije tamam umr bhatakti rahi nazar ki kahin mile koi jise nazrana-e-wafa dije meri to jumbish-e-lab bhi hai na-khushi ka sabab ab aap hi koi tarz-e-bayan sikha dije wo sahme sahme judai ke muztarib lamhe meri nigah mein ek bar phir basa dije gaya nahin hai abhi daur aap ka 'anjum' jo dil udas ho to phir use sada dije