chal raha hun pesh-o-pas-manzar se uktaya hua ek se din raat ke chakkar se uktaya hua be-dili hoshyar pahunchi mujh se pahle thi wahan mein gaya jis anjuman mein ghar se uktaya hua ho nahin paya hai samjhauta kabhi donon ke bich jhut andar se hai sach bahar se uktaya hua ab muzayyan hai talaffuz se awamunnas ke sher sarf-o-nahw ke chakkar se uktaya hua khwahish-e-ijad hai apne maani ki use lag raha ye feal hai masdar se uktaya hua chubh rahe hain aankh mein khwab-e-pareshan raft ke jism hai is nind ke bistar se uktaya hua umr lekin raegan ki us ke jama o kharch mein tha hamesha zehn chize-zar se uktaya hua aaj phir padhta hun maktab mein nae ustad se kal tha jin asbaq ke azbar se uktaya hua zat apni in mein rakhta hun barabar munqasim dil mera hai bahs-e-khair-o-shar se uktaya hua