chala hun ghar se main ahwal-e-dil sunane ko wo muntazir hain mera zabt aazmane ko raqib sath hai aur zer-e-lab tabassum hai ajab tarah se wo aaya hai dil dukhane ko agarche bazm-e-tarab mein hawas ka ghalba hai main aa gaya hun mohabbat ke git gane ko main ja raha hun wahan jabki az-rahe-tafrih saji hai bazm mera shauq aazmane ko rawish rawish mein hai afsurdagi ki afzaish wo phir bhi nikle hain tafrih-e-gul manane ko junun-e-ishq mera jabki ek haqiqat hai alag karunga main is ishq se fasane ko main chahta tha mera ishq ek raaz rahe wo aa gaya to khabar ho gai zamane ko wo jin se mujh ko tawaqqo thi pasbani ki wo aa gae hain mera aashiyan jalane ko janab-e-shaikh ki ye wo rukhi maaz-allah hui hai shab to chale hain sharab-khane ko rah-e-hayat mein bahrupiyon se waqif hun jo gham-gusar bane mera dil dukhane ko jo be-khabar hain sarapa wo phir rahe hain aaj qadam qadam pe nai dastan sunane ko jidhar nigah uthao rawan hai khun-e-jigar khabar nahin ki ye kya ho gaya zamane ko