chand mohmal si lakiren hi sahi ifsha rahun nok-e-khama par ba-rang-e-raushnai kya rahun koi shayad aa hi jae rasta takta rahun ek sang-e-mil ban jaun ba-chashm-e-wa rahun khai se sab ko bacha lun main na kuchla jaun to ban ke khatre ka nishan raste mein istada rahun dasht-e-tanhai mein yaadon ke darindon se darun bach-bacha ke bhid mein aaun to phir tanha rahun zarre zarre mein bikhar jaana hai takmil-e-hayat mujh ko ye zeba nahin ab zat mein simta rahun apni aawazen hi jab bar-e-samaat hain 'zahir' chikhte gumbad mein behtar hai ki main gunga rahun