chalan is doghli duniya ka gar manzur ho jata wo mujh se dur ho jata main us se dur ho jata hunar hathon se chikne ka bacha kar le gaya mujh ko bharose panw ke rahta to main mazur ho jata zamane-bhar ki baaton ko agar dil se laga leta jahan pe dil dhadakta hai wahan nasur ho jata safar karte hue apna hata kar aankh se patti main sang-e-mil jo padhta thakan se chur ho jata ye 'fani' dil ki sunta hai tabhi gumnam hai ab tak agar ye zehn ki sunta bahut mashhur ho jata