jism mein gunjta hai ruh pe likkha dukh hai tu meri aankh se bahta hua pahla dukh hai kya karun bech bhi sakta nahin ganjina-e-zakhm kya karun bant bhi sakta nahin aisa dukh hai ye tab-o-tab zamane ki jo hai na yaro kijiye ghaur to lagta hai ki sara dukh hai tum mere dukh ke tanasub ko samajhte kab ho jitni khushiyan hain tumhaari mera utna dukh hai aisa lagta hai mere sath nahin kuchh bhi aur aisa lagta hai mere sath hamesha dukh hai mujh se mat aankh milao ki meri aankhon mein shahr ki zard ghutan dasht sa pyasa dukh hai le gae log wo dariya-e-jawan apne sath aur mere hath jo aaya hai wo sahra dukh hai kya bataun ki liye phirta hun dukh kitne qadim tum samajhti ho faqat mujh ko tumhaara dukh hai us ke lahje mein thakan hai na hi aasar-e-marg us ki aankhon mein magar sab se anokha dukh hai hum kisi shakhs ke dukh se nahin milte 'haidar' jo zamane se alag hai wo hamara dukh hai