chalan raha nahin jine ka ab zamane mein lage hue hain sabhi zindagi banane mein koi kisi ko nahin marta sar-e-maqtal ye kaam hota hai daftar mein kar-khane mein hamare daur mein insaniyat ka haal hai ye padi ho lash koi jaise sard-khane mein mizaj-e-dahr ka karna na ahl-e-shar pe qayas ki aise log to hote hain har zamane mein hazaron sal ki tamir hai ye wahm ka but hazaron sal lagenge ise girane mein