dhup qismat hai to phir dhup ka khugar hona kya zaruri hai sada saya ka sar par hona kyon na hum lamha-e-maujud mein hans kar ji len jab ki mumkin nahin haalat ka behtar hona sirf qisson ki kitabon mein padha karte the hum ne dekha na tha insan ka patthar hona sirf surat nahin sirat bhi bigad jati hai ek ajab rog hai haara hua lashkar hona nam jis haal ka sahra mein hai aazada-rawi shahar mein us ko kaha jata hai be-ghar hona ho gaya itna to 'yunus' ki ghazal se zahir ahd-e-hazir mein bhi mumkin hai sukhan-war hona