chale hain sath hum anjaan ho kar

chale hain sath hum anjaan ho kar
rahe apne hi ghar mehman ho kar

mili thi raste mein zindagi bhi
mujhe takti rahi hairan ho kar

mujhe samjha nahin shayad kisi ne
bahut mushkil mein hun aasan ho kar

jahan hai wo wahan par hum nahin hain
pade hain ghar mein hum saman ho kar

koi dhadka nahin lutne ka mujh ko
main khush hun be-sar-o-saman ho kar

mohabbat jang thi mahngi padi hai
hui taqsim main tawan ho kar

bahut manus thi main jugnuon se
unhen takti hun ab hairan ho kar

meri pahchan mujh se chhin gai hai
juda hai wo meri pahchan ho kar

main sanson ke bharose pe khadi thi
mujhe jina tha us ki jaan ho kar

'farah' main apni puri dastan thi
magar ab rah gai unwan ho kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close