chale jaenge sab asbab hairani na jaegi kisi surat dil-o-jaan ki ye arzani na jaegi so ab tai hai na jaengi ye dil ki wahshaten jab tak ragon mein is umadte khun ki tughyani na jaegi sabab ye hai ki pahle ho chuka hai faisla so ab gawahi di to jaegi magar mani na jaegi tujhe us dar se lena tha naya ranj-o-alam har pal dil-e-wahshat-asar teri tan-asani na jaegi khula ye khun ki wahshat hai so main mar to sakta hun mere andar se lekin khu-e-sultani na jaegi mayassar aaengi har pal bahut aasaishen lekin mujhe malum hai ab dil ki virani na jaegi