din raat ke dekhe hue manzar se alag hai ye lamha to maujud o mayassar se alag hai maujen ki bagule hon mere dil ka har ek rang sahra hai juda aur samundar se alag hai wo shai ki lage jis se meri ruh pe ye zakhm waqif hi nahin tu tere khanjar se alag hai poshida nahin mujh se ye duniya ki haqiqat bahar se mere sath hai andar se alag hai ek rang barasta hi raha mujh pe agarche malum tha wo mere muqaddar se alag hai tujh ko nahin malum hue jis pe fida hum hai aur hi kuchh jo tere paikar se alag hai us chashm-e-karam ne mujhe bakhsha jo khazina an-mol hai wo aur zar-o-gauhar se alag hai us shakhs ki ulfat ne phir ek roz bataya qismat meri dara-o-sikandar se alag hai