chale jaiyega meri anjuman se ye kya sun hun tumhaare dahan se bahaaron ko rangin banaya hai hum ne kahan jaen ahl-e-chaman hum chaman se kahen kis se hum kasmapursi ka aalam watan mein hain lekin gharib-ul-watan se mohabbat ke tohfe samajh kar liye hain mile jis qadar ranj dar-e-mehan se ye hi hoga aakhir taghaful ka hasil utar jaoge ek din mere man se ye mahsus hota hai sahra mein rah kar talluq hi jaise nahin tha chaman se suna kar ghazal aaj mahfil mein 'jafar' mujhe dad leni hai ahl-e-sukhan se