abhi hai ghair ke altaf se jafa-e-habib wahi raza hai hamari jo hai raza-e-habib na samjhun apna kisi ko raqib rashk se main wo mera dost hai jo howe aashna-e-habib wo khwah qatl kare khwah meri jaan bakhshe ki marg o zist pe mukhtar hai raza-e-habib na tegh-e-yar se gardan phiraun main hargiz ki ain-lutf samajhta hun main jafa-e-habib patinge shama ke sadqe hon bulbulen gul par koi kisi ke fida ho main hun fida-e-habib bahisht ki mujhe targhib de na tu waiz kisi ki mujh ko tamanna nahin siwae habib hamesha mujh se wo kahta tha mar kahin 'hasrat' hazar shukr pazirai hui dua-e-habib