chale the hum ki sair-e-gulshan-e-ijad karte hain ki itne mein ajal aa kar pukari yaad karte hain hujum-e-arzu se shahr-e-dil aabaad karte hain hum apni khak apne hath se barbaad karte hain taraf-dari na kar insaf kar ai dawar-e-mahshar saza de in buton ko warna hum fariyaad karte hain kabhi to rang laega kabhi to gul khilaega hum apna khun sarf-e-gulshan-e-ijad karte hain hamein to kar-pardazan-e-qudarat khel samjhe hain kabhi aabaad karte hain kabhi barbaad karte hain kisi ummid par zinda rahun ya ghut ke mar jaun wo kya kahte hain ai qasid wo kya irshad karte hain 'hafiz' apni tabiat par mujhe khud rashk aata hai mere ashaar par hazrat hamesha sad karte hain