be-talluq zindagi achchhi nahin zindagi kya maut bhi achchhi nahin aaj bhi paya hai un ko bad-mizaj surat-e-haalat abhi achchhi nahin hasrat-e-dil dekh aankhon mein na baith is qadar be-pardagi achchhi nahin main na kahta tha dil-e-khana-kharab dilbaron se dil-lagi achchhi nahin sair kije husn ke bazar ki han magar aawargi achchhi nahin dil lagao to lagao dil se dil dil-lagi hi dil-lagi achchhi nahin ye hawa ye abr ye sabza 'hafiz' aaj pine mein kami achchhi nahin