chali hai aaj falak par meri fughan ki baat gai kahan se kahan tak gham-e-nihan ki baat kali kali mein na pad jae jaan to kahna chaman mein chhed ke dekho meri zaban ki baat wahi qafas ki zaban-bandiyan yahan bhi hain hum aashiyan mein karen kaise aashiyan ki baat meri jabin ke fasane ko bhulne wale jo main bhi bhul gaya tere aastan ki baat unhin se un ke sitam ki karen shikayat kya hum aasman se karen jaur-e-asman ki baat ada-e-jaur ko nind aa gai magar 'muslim' hui na khatm abhi mere imtihan ki baat