chalne ka hunar kab aata hai jab tak koi thokar khao nahin haalat badalte rahte hain haalat se tum ghabrao nahin sapnon ke rain-basere mein sadiyon se bada sannata hai aankhon mein nind sulagti hai ab khwab koi dikhlao nahin ye bazi pyar ki bazi hai yahan sab kuchh danw pe lagta hai jito to kabhi itrao nahin haaro to kabhi pachhtao nahin bojhal palken sune raste viran haweli sannata ab koi nahin aane wala chaukhat pe charagh jalao nahin thokar se kabhi khud apne hi talwe zakhmi ho jate hain patthar to tut bhi sakte hain shishe se magar takrao nahin khud apni tabahi par hansna har shakhs ke bas ki baat nahin diwana hai jo hans leta hai diwane ko samjhao nahin gagar ke sagar mein aksar duba hai ghurur pahadon ka tum apne dil par rahm karo panghat pe akele jao nahin ye rishte-nate dharm-karm pe pap-punnya hum kya jaanen hum aisi dagar ke jogi hain logo hum ko bahkao nahin hamdardi kaun jataega duniya ko to hansna aata hai is tute hue dil ka qissa duniya walon ko sunao nahin