bewafa hai wo kabhi pyar nahin kar sakta han magar pyar se inkar nahin kar sakta apni himmat ko jo patwar nahin kar sakta wo samundar ko kabhi par nahin kar sakta jo kisi aur ke jalwon ka tamannai ho wo kabhi bhi tera didar nahin kar sakta hont kuchh kahne ko betab hain kab se lekin us ki aadat hai wo izhaar nahin kar sakta us ki chahat pe bharosa hai mujhe mere siwa wo kisi aur ko haqdar nahin kar sakta us ko malum hai wo khud bhi to ruswa hoga mujh ko ruswa sar-e-bazar nahin kar sakta waqt pad jae to wo jaan bhi de sakta hai fan ka sauda koi inkar nahin kar sakta