chalo baad-e-bahaari ja rahi hai piya-ji ki sawari ja rahi hai shumal-e-jawedan-e-sabz-e-jaan se tamanna ki amari ja rahi hai fughan ai dushman-e-dar-e-dil-o-jaan meri haalat sudhaari ja rahi hai hai pahlu mein take ki ek hasina teri furqat guzari ja rahi hai jo in rozon mera gham hai wo ye hai ki gham se burdbari ja rahi hai hai sine mein ajab ek hashr barpa ki dil se be-qarari ja rahi hai main paiham haar kar ye sochta hun wo kya shai hai jo haari ja rahi hai dil us ke ru-ba-ru hai aur gum-sum koi arzi guzari ja rahi hai wo sayyad bachcha ho aur shaikh ke sath miyan izzat hamari ja rahi hai hai barpa har gali mein shor-e-naghma meri fariyaad mari ja rahi hai wo yaad ab ho rahi hai dil se rukhsat miyan pyaron ki pyari ja rahi hai daregha teri nazdiki miyan-jaan teri duri pe wari ja rahi hai bahut bad-haal hain basti tere log to phir tu kyun sanwari ja rahi hai teri marham-nigahi ai masiha kharash-e-dil pe wari ja rahi hai kharabe mein ajab tha shor barpa dilon se intizari ja rahi hai