us ka kamal hai ki khizan par bahaar hai hadd-e-nazar talak jo tilismi hisar hai aage bhi subh tak nahin raushan koi suragh pichhe bhi dur dur ye tarik ghaar hai jhonke kahin se aate hain taza hawaon ke kunj-e-qafas kahin koi rah-e-farar hai in aablon ko panw se nisbat hai daimi aage yahi safar hai yahi kharzar hai tha ek shajar buland jo aandhi mein gir gaya basti tamam us ke liye sogwar hai 'betab' tum faqir kahan aa gae miyan is shahr mein ek ek bashar shahr-e-yar hai