chalo mana hamin be-karwan hain jo juzw-e-karwan the wo kahan hain na jaane kaun pichhe rah gaya hai manazir ulti jaanib ko rawan hain zamin ke tal sab sukhe pade hain parinde aasman-dar-asman hain suna hai tishnagi bhi ek dua hai labon par shabd jis ke par-fishan hain khule sahra mein mat dhundo hamein tum sada se hum tumhaare darmiyan hain