ai sanam sab hain tere hathon se nalan aaj-kal surat-e-naqus hain gabr-o-musalman aaj-kal bagh mein kahte hain wo lale ka takhta dekh kar gul khilati hai ajab khak-e-shahidan aaj-kal harf-e-matlab apne diwane ka bhi sun ja zara ho tujhe chhutti jo ai tifl-e-dabistan aaj-kal mausam-e-josh-e-junun hai jama-e-gul ki tarah khud-ba-khud hote hain tukde jeb-o-dastan aaj-kal peshtar khat se maza tha husn ka ai naunihaal ho gaya daghi tera seb-e-zanakhdan aaj-kal yaad karte hain kisi ke mushaf-e-rukhsar ko taq-e-nisyan par rakha hai hum ne quran aaj-kal zulfen chhodi hain jo us sayyaad-e-gul-rukhsar ne dam mein phanste hain murghan-e-ghulistan aaj-kal hae wo khush-qad pae-gul-gasht ab aata nahin nakhl-e-matam hai har ek sarw-e-gulistan aaj-kal zoaf ke hathon hue fasl-e-junun mein tang hum ho gaya phansi hamein apna gareban aaj-kal in dinon mein zur hota hai hamein josh-e-junun bhagta hai chhod kar majnun bayaban aaj-kal jo hasin hai gard hai is baadshah-e-husn ki rahta hai pariyon ki jhumar mein sulaiman aaj-kal aindate hain kaj-adai karte hain ushshaq se bal ki lete hain bahut gesu-e-jaanan aaj-kal gulshan-e-alam meri nazron mein bagh-e-sabz hai dekhta hun sabza-e-gor-e-ghareban aaj-kal samna har roz ka hai us but-e-saffak se ai 'saba' allah hai apna nigahban aaj-kal