chalo us bewafa ko main bhula kar dekh leta hun ye shoale khushk patton mein chhupa kar dekh leta hun kisi surat guzishta saaton ke naqsh mit jaen main diwaron se taswiren hata kar dekh leta hun jo itni pas hain wo suraten dhundlaegi kaise khud apni sans shishe par laga kar dekh leta hun bahut dil ko satata hai agar be-khanuman hona to kuchh lamhe hawa mein ghar bana kar dekh leta hun ye mumkin hai use bhi is se ho kuchh dur ki nisbat main aane wala har patthar utha kar dekh leta hun tawaqqo hai ki shayad wo yunhi pahchan le mujh ko use is ke purane khat dikha kar dekh leta hun mere gham ki khabar 'irshad' duniya ko hui kaise bhare talab mein kankar gira kar dekh leta hun