mere hathon mein nahin koi hunar ab ke baras jaane kis ism pe khulta hai ye dar ab ke baras kuchh to bhugta gae na-karda gunahon ki saza zad pe aandhi ke hain kuchh aur shajar ab ke baras raqs aaseb ka jari hai mere shahron mein kis ko darkar hai kis shakhs ka sar ab ke baras ji jalaega ye aawara o be-dar hona dil dukhaenge ye mahke hue ghar ab ke baras teri ulfat teri chahat teri shafqat ke tufail kitna barsega mera dida-e-tar ab ke baras mujh ko chhu mere shab-o-roz ko raushan kar de mere aangan mein bhi pal bhar ko thahar ab ke baras tu ne har bar bahut khud ko bigada 'arshi' meri gar man to ji bhar ke sanwar ab ke baras