chalo ye bhi apna hi jurm hai ye gunah bhi mere sar gae

chalo ye bhi apna hi jurm hai ye gunah bhi mere sar gae
main na chal saka to thahar gaya wo guzar sake to guzar gae

wahi saaten hain farogh-e-jaan meri rah-e-shauq mein aaj bhi
meri manzilon ke nasib jab tere naqsh-e-pa se sanwar gae

wahi marhale meri yaad hain wahi mashghale mera khwab hain
shab-o-roz jab tere gesuon tere aarizon mein thahar gae

wo nadi ka sahil-e-dilruba hamein yaad sab hai zara zara
tere rukh pe jab meri ek talab pe shafaq ke rang bikhar gae

main jo chup raha to ye baat thi ki kisi ka raaz na khul sake
main jo ro pada to ye raaz tha ki meri wafa se wo dar gae

main kahan hun saghar-e-mai kahan shab-e-mah kyon hai dhuan dhuan
ye bata khumar-e-sahar-gahi mere aql-o-hosh kidhar gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close