darun-e-mai-kada kis darja hasrat-rez hai saqi

darun-e-mai-kada kis darja hasrat-rez hai saqi
jo gard-alud kursi hai to tuti mez hai saqi

na kyon hur-e-jinan ke zikr se mahzuz ho waiz
ye us ke tausan-e-dil ke liye mahmez hai saqi

mere auqat-e-girya time table par muqarrar hain
ye banda ishq ke bare mein bhi angrez hai saqi

jala kar rakh diya hai us ne shahr-e-arzu mera
tera darban asli waris-e-changez hai saqi

zara is unghte mai-kash ki ek bharpur chutki le
gulabi nakhun-e-tadbir tera tez hai saqi

wo mere do nae paise hi apne purse mein rakh le
ki us ke sabr ka paimana ab labrez hai saqi

raqib-e-ru-siyah sar phod lega kohkan ban kar
tera shauhar khuda ke fazl se parwez hai saqi

mera hissa mujhe chhup kar hi mil jae to behtar hai
gada-e-mai-kada ghairon se kam-amez hai saqi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close