chalte chalte chale aae hain pareshani mein

chalte chalte chale aae hain pareshani mein
khwab to dab chuke is kuche ki virani mein

tod kar panw pade hain ki wo himmat na rahi
udte baadal the kabhi chaak-girebani mein

hijr ki rah mein chalte rahe girte-padte
sath kuchh bhi na liya be-sar-o-samani mein

us shahanshah ko main kaise shahanshah kahun
sarhaden tutti hon jis ki jahanbani mein

pahunche manzil pe to hasil tha faqat yas-o-hiras
umr ek bit gai silsila jumbani mein

us ke jaane pe ye ehsas hua hai 'shahid'
wo jazira tha mera dukh se bhare pani mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close