sar mila hai ishq ka sauda samane ke liye aankhen din insan ko aansu bahane ke liye us ka hansna yaad aata hai rulane ke liye kuchh bahana chahiye aansu bahane ke liye koi zahid ban gaya hai koi waiz ban gaya kaise kaise swang hain roti kamane ke liye naqd-e-dil ko warte hain hum lab-e-pan-khurda par nazr lae hain tumhaare pan khane ke liye mujh pe hai chashm-e-itab auron pe shafqat ki nazar mujh ko izrail isa ho zamane ke liye kaba-e-ummid ki tazim wajib thi zarur hum ne bose 'sehr' us ke aastane ke liye