chalte chalte rahon se kat jaana padta hai hote hote manzar se hat jaana padta hai dekhna pad jata hai khud ko kar ke ek tamashai apni dhul uda kar khud at jaana padta hai khattati se dur bhatakne wale soch ke daman ko kore kaghaz ke hathon phat jaana padta hai sazina jab qadam badhata hai us ki pazebon ka kanon ko jhankar ki aahat jaana padta hai khwahish mar jae to us ki chita ko aag dikhane mein dhadkan dhadkan dil ke marghat jaana padta hai tab nahin ho jis mein kanch ko reza reza karne ki us patthar ko tukdon mein bat jaana padta hai khud ke mutlashi ko ek na ek din aakhir-kar apne bhule-bisre hue ki chaukhat jaana padta hai sachchai wo jang hai jis mein baz auqat sipahi ko aap muqabil apne hi dat jaana padta hai ek chingari aag laga jati hai ban mein aur kabhi ek kiran se zulmat ko chhat jaana padta hai baat riya-kari ke bin ban pati nahin hai 'khawar' is dozakh mein karwat karwat jaana padta hai