abhi shab hai mai-e-ulfat undelen magar din mein gharon ke raste len chalo ruk jaen bahr-e-did hum bhi dariche par jhuki jati hain belen khudaya kash ye hire si aankhen mohabbat ki kadi bazi na khelen irada hai na pahchanen use hum tamanna ko ye zid bahon mein le len bahut arsa rahe hain sath us ke so ab tanhai bhi kuchh roz jhelen hai dil mein zabt aur aankhon mein aansu tasadum ko badhi aati hain railen ye ghar hain ya ba-waqt-e-sham 'sajid' swagat ke liye khulti hain jelen