chalte chalte ye gali be-jaan hoti jaegi raat hoti jaegi sunsan hoti jaegi dekhna kya hai nazar-andaz karna hai kise manzaron ki khud-ba-khud pahchan hoti jaegi us ke chehre par musalsal aankh ruk sakti nahin aankh bar-e-husn se halkan hoti jaegi soch lo ye dil-lagi bhaari na pad jae kahin jaan jis ko kah rahe ho jaan hoti jaegi kar hi kya sakti hai duniya aur tujh ko dekh kar dekhti jaegi aur hairan hoti jaegi kakul-e-khamdar mein kham aur aate jaenge zulf us ki aur bhi shaitan hoti jaegi aate aate ishq karne ka hunar aa jaega rafta-rafta zindagi aasan hoti jaegi ja chukin khushiyan to ab gham hijraten karne lage dil ki basti is tarah viran hoti jaegi