har insan apne hone ki saza hai bhare bazar mein tanha khada hai nae darbanon ke pahre bithao hujum-e-dard badhta ja raha hai rahe hum hi jo har patthar ki zad mein hamari sar-bulandi ki khata hai mahakte gesuon ki raat guzri sawa neze pe ab suraj khada hai mere khwabon ki chikni sidhiyon par na jaane kis ka but tuta pada hai wo shole hon lahu ho hadse hon meri hi zindagi par tabsira hai teri zulfen to hain badnam yunhi mujhe din ke ujalon ne dasa hai chalo chupke se kuchh but aur rakh aaen dar-e-kaba abhi shayad khula hai utar kar to fasil-e-shab se dekho sahar ne khud-kushi kar li suna hai abhi taq-e-tasawwur par 'naimi' charagh-e-lazzat-e-shab jal raha hai