chamak yunhi nahin lafzon mein aai kiya hai khun-e-dil ko raushnai mere chehre se chipki thi udasi hansi mayus ho kar laut aai tamannaon ne ki sahra-nawardi junun ne shahar mein hi khak udai main dil ki baat sunne ka hun aadi mubarak tum ko patthar ki khudai kitaben ishq ki gum ho gai hain adhuri rah gai meri padhai ujala bhar gaya kamre mein mere teri taswir ki hai ru-numai tamazat mera matha chumti hai main jab karta hun suraj ki burai nahin khwahish parinda shakh-e-dil par to is ke tut jaane mein bhalai kharidega 'musawwir' kaun tum ko agar qimat nahin apni badhai