chamakne laga hai tera gham bahut diye ho chale ab to maddham bahut ghataon mein tufan ke aasar hain teri zulf hai aaj barham bahut yahan lahlahae hain ashkon mein bagh na itrae phulon pe shabnam bahut ye wo daur hai jis ka darman nahin ye wo raaz hai jis ke mahram bahut ye daman-e-wahshat ki kuchh dhajjiyan banaenge log in se parcham bahut gada-e-mohabbat ki khuddariyan mile rah mein khusraw-o-jam bahut sulagti rahi raat bhar chandni shab-e-hijr thi raushni kam bahut na jaegi dil se kabhi aarzu ye buniyaad hai aah-e-mohkam bahut