qabil-e-did ye bhi manzar hai har khushi gham ka ek daftar hai sochta hun yahi mera ghar hai kis ke jalwon se ab munawwar hai yaad-e-jaanan are maaz-allah jaise pahlu mein ek nashtar hai un se har chand rasm-o-rah nahin silsila gham ka phir barabar hai kaise ho mustafiz peshani sang-dil jab ki khud tera dar hai yak-ba-yak hans pada hai diwana har-nafas dekhta hai shashdar hai imtihan 'khizr' hai wafaon ka us ke hathon mein aaj khanjar hai