chamakti os ki surat gulon ki aarzu hona kisi ki soch mein rahna kisi ki justuju hona wo patthar hai pighalne mein zara sa waqt to lega abhi mumkin nahin hai us se koi guftugu hona use mein dekhta jaun kahan ye baat aankhon mein nahin aasan suraj ke musalsal ru-ba-ru hona use aata hai lamhon mein bhi apne aks ko bharna na hona pas lekin phir bhi mere chaar su hona tumhaari yaad ki barish barasti hai mere dil par meri aankhon ko aata hi nahin hai be-wazu hona lahu mein bo gaya hai qatra qatra sainkdon kante hari rut mein bhi mere sehn-e-gul ka be-numu hona