un se kah do ki ilaj-e-dil-e-shaida na karen yahi achchha hai ki bimar ko achchha na karen kya kaha phir to kaho hum koi shikwa na karen chup rahen zulm sahen zulm ka charcha na karen ye tamasha to karen rukh se utha den wo naqab ek aalam ko magar mahw-e-tamasha na karen waqt-e-akhir to nikal jae tamanna meri wo na aise mein bhi aaen kahin aisa na karen intiha ho gai aazad-dahi ki sayyaad hum tasawwur mein bhi gulzar ko dekha na karen roz wo kahte hain aaj aaenge kal aaenge aise wade se to behtar hai ki wada na karen khud-numai unhen ghairon mein liye phirti hai hum to jab jaanen ki hum se bhi wo parda na karen tegh ruk jati hai nawak bhi bahak jata hai koi 'bismil' ko ye samjha de ki tadpa na karen