chaman-bandi pe hai mahshar bapa kya khile hain gul udi hai khak kya kya shahidan-e-wafa bhi ji uthenge koi jadu jaga ab puchhna kya khiram-e-naz mauzun hai tujhi ko uthi athkheliyan karti saba kya fasad-e-in-o-an hai kis ke dam se kahenge aur tujh se barmala kya qayamat hai ki wo yun bhi hain na-khush dua mein bhi tha harf-e-muddaa kya fareb-e-agahi ne mar dala khuda kya nakhuda kya aur kya kya yahi udta hua lamha rahega abas hai ibtida kya intiha kya ghubar-e-kahkashan chhat bhi gaya to kahin le jaega ye rasta kya 'nazar' is kaifiyat se kaun nikle hua wo aashna na-ashna kya