chanaren wadiyon mein mushtail hain daregha sarw abhi tak pa-ba-gil hain uthe hain lala-e-khunin-kafan phir yahi shoale jahan-e-mustaqil hain agar do-gam par manzil hai phir kyun chatanen zindagi ki munfail hain gulon par be-dili ka rang kyun hai anadil sahn-e-gulshan mein khajil hain rafu ho jaenge chaak-e-bahaaran khizan ke ghaw dekho mundamil hain khanakte hi rahe shishe to kis kaam labon tak jam ja pahunchen to dil hain gae manzil-ba-manzil dar tak hum marahil ishq ke kab jaan-gusil hain mile hain baad muddat ke to jaana bahut apne kiye par munfail hain thikana kya hai aise doston ka muqabil hain na mere muttasil hain