chaman chaman hi nahin hai jo lala-zar nahin hum us ko dil nahin kahte jo dagh-dar nahin main chal raha hun zamane ke sath sath magar faza zamane ki phir bhi to sazgar nahin raqib jhut kahega to sach samajh loge kahenge sach bhi agar hum to e'tibar nahin main un ke husn ko ilzam dene wala kaun jab apne dil pe mujhe khud hi ikhtiyar nahin ab aur dekhiye tauhin-e-ishq kya hogi wo kah rahe hain hamein tera e'tibar nahin tumhaare hijr mein din kis qadar guzare hain koi hisab nahin hai koi shumar nahin tere karam ke bharose pe mutmain hun main ye jaanta hun ki mujh sa gunahgar nahin kisi ke rukh pe nazar jam ke rah gai shayad meri nigah mein rangini-e-bahaar nahin khumar-e-nasha-e-hasti hai wo bala 'shankar' bahak raha hai har ek koi hoshiyar nahin