chaman chaman mein hain barpa ye kaise hangame

chaman chaman mein hain barpa ye kaise hangame
kali ke titli ke bhaunron ke gul ke hangame

hazar rang ke phulon se bagh ki zinat
bahaar aai to lai hai itne hangame

meri khamoshi ke mani kuchh aur hi samjhe
isi liye to uthae hain itne hangame

wo rah bhul chuke the main bach ke kya karti
meri gali mein magar kis qadar the hangame

hui tujhe kabhi ai dil maal ki parwah
har ek sans ki dhadkan mein kitne hangame

zara pata to laga nafraton ke saudagar
uthe hain kaun gali se machae hangame

hamari be-khabari hai saza hamare liye
andheri rahon mein ugte hain sare hangame

gham-e-hayat se bachne ke sau bahane hain
aziz-tar hain mujhe zindagi ke hangame

hazar bar mujhe dhund kar palat aae
hain kitne zarf-e-nazar shahar ke ye hangame

ye dil ki dast-e-talab kar saka kabhi na daraaz
na bhul paya kabhi aarzu ke hangame

'anis' tum ne basae hain dil ki dhadkan mein
takhaiyyulat ke aanchal se le ke hangame


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close